shikast-e-KHwab-e-tarb-e-za se hosh-mand hua
uThe jo hath to bab-e-qubul band hua
guzar raha hai junun reg-e-azmaish se
kabhi saba kabhi sarsar kabhi samand hua
karun bhi kya ki nazar aasman pe rahti hai
main ek sitara-e-shab ka niyaz-mand hua
ajib shai hai shafaq-rezi-e-tamanna bhi
ki sair-e-jaan bhi hui dard bhi do-chand hua
nazar bhaTakti rahi aur main raha aazad
nazar jami to main shayan-e-qaid-o-band hua
hila na apni jagah se na chaak-daman tha
hawa se laD ke magar barg-e-arjumand hua
ye iftiKHar-e-shajar shaKH-e-nau-bahaar se hai
jo paemal-e-KHizan tha wo sar-buland hua
bahut qarib tha mujh se mera harif na tha
to kyun wo sahib-e-dil darpai gazand hua
nahin hai qamat-e-baala se kam mera qad bhi
wo aasman hai to ho main bhi KHud-pasand hua
Ghazal
Shikast-e-KHwab-e-tarb-e-za se hosh-mand hua
Syed Amin Ashraf

