shikayat hai bahut lekin gila achchha nahin lagta
dilon ki baat hai kam hausla achchha nahin lagta
nami aaankhon mein soz-e-dil ka unwan-e-takallum hai
magar KHamosh ashkon ka sila achchha nahin lagta
idhar aana na jaana hi adhar gum-karda rahi hai
tazabzub ka mujhe ye marhala achchha nahin lagta
masarrat aur gham donon ki koi had zaruri hai
kisi bhi ek shai ka silsila achchha nahin lagta
bura lagta hai hum ko ek tanasub ka bigaD jaana
kuchh aise log hain jin ko bhula achchha nahin lagta
'atiq' aisa bhi jina koi jina hai bhala aaKHir
na howe jis mein josh-o-walwala achchha nahin lagta
Ghazal
Shikayat hai bahut lekin gila achchha nahin lagta
Ateeq Asar