اردو हिंदी
Shama san shab ke mehman hain hum | Shaahi Shayari
shama san shab ke mehman hain hum

Ghazal

Shama san shab ke mehman hain hum

Meer Hasan

;

shama san shab ke mehman hain hum
subh hote to phir kahan hain hum

tum bin ai raftgan-e-mulk-e-adam
hasti apni se sargiran hain hum

baghban Tuk to baiThne de kahin
aah gum-karda aashiyan hain hum

dekhte hain usi ko ahl-e-nazar
go nihan hai wo aur ayan hain hum

na kisi ki sunen na apni kahen
naqsh-e-diwar-e-bostan hain hum

jins-e-asudgi nahin hum pas
dard aur gham ke karwan hain hum

dil se nala nikal nahin sakta
yan talak gham se na-tawan hain hum

kya kahen hum 'hasan' ba-qaul 'ziya'
jis tarah se ki ab yahan hain hum

dagh hain karwan-e-rafta ke
naqsh-e-pa-e-guzishtagan hain hum