اردو हिंदी
Shama raushan jism-e-fanus-e-KHayali mein hai aaj | Shaahi Shayari
shama raushan jism-e-fanus-e-KHayali mein hai aaj

Ghazal

Shama raushan jism-e-fanus-e-KHayali mein hai aaj

Miskeen Shah

;

shama raushan jism-e-fanus-e-KHayali mein hai aaj
ruh jun misl-e-magas makDon ki jali mein hai aaj

hum nahin hargiz hubab-e-bahar-e-imkan dahr mein
sane-e-kaunain shakl-e-be-misali mein hai aaj

kaba-e-dil arsh hai har dam jahan rahta hun main
meri pahchanat ye jism-e-la-yazali mein hai aaj

nam sun kar jo koi aaya hai wo paya hamein
ism-e-azam ki sifat is ism-e-ali mein hai aaj

jannat-ul-firdaus mein ja kar bhala hum kya karen
koi bhi us KHana-e-viran-o-KHali mein hai aaj

hur-o-ghilman-e-bahishti yan mere ham-rah hain
mulk-e-dil-abaad apne hasb-e-haali mein hai aaj

nek-o-bad yaksan hai wajib main yahan imkan mein
chahiye rahat to 'miskin' KHush-KHisali mein hai aaj