اردو हिंदी
Shama ki lau tez itni thi dhuan hona hi tha | Shaahi Shayari
shama ki lau tez itni thi dhuan hona hi tha

Ghazal

Shama ki lau tez itni thi dhuan hona hi tha

Mazhar Imam

;

shama ki lau tez itni thi dhuan hona hi tha
faede ke kaam mein kuchh to ziyan hona hi tha

kis ko KHush aati hamari chhat ki saya-afgani
ghar banaya tha to phir be-KHanaman hona hi tha

hum natije ke liye ta-zindagi baiThe rahe
ye kahan samjhe ki pahle imtihan hona hi tha

wadi-e-gul se nikalna ek majburi sahi
shahr-e-na-pursan mein hum ko raegan hona hi tha