shakl-e-jaanana ja-ba-ja hain hum
kahin naz aur kahin ada hain hum
kahin isa hain hum kahin murda
kahin zinda kahin fana hain hum
kahin aala hain aur kahin adna
kahin sultan kahin gada hain hum
hain kahin aashiq-e-jigar-e-KHasta
kahin mashuq-e-dil-ruba hain hum
kahin qatra hain aur kahin dariya
kahin kashti ke naKHuda hain hum
hain kahin hum dawa-e-dafa-e-dard
aur kahin dard-e-la-dawa hain hum
kahin hain shah surat-e-KHadim
aur kahin 'asim'-e-gada hain hum
Ghazal
Shakl-e-jaanana ja-ba-ja hain hum
Shah Aasim

