shakl-e-aks-o-aina masjid thi ya mai-KHana tha
aap to mehman tha aur aap sahab-KHana tha
kis ko jurat thi jo karta teri aaraish-giri
surat-e-shamshad to KHud zulf tha KHush shana tha
husn se tere hua hai ishq ka bazar garm
tu agar jalwa na karta hum ko bhi sauda na tha
thi sahar 'maruf' shaKH-e-sarw-e-gul KHam ja-ba-ja
har kaf-e-KHake--chaman goya ibaadat-KHana tha
Ghazal
Shakl-e-aks-o-aina masjid thi ya mai-KHana tha
Maroof Dehlvi

