shaiKH ka KHauf hamein hashr ka dhaDka hum ko
sath hi ishq ke aazar ne mara hum ko
maut kahte hain jise zabt ka ye KHabt na ho
zindagi par bhi hai fariyaad ka dhoka hum ko
jao han jao raqibon ki muraden bar lao
rahne do rahne do nakaam-e-tamanna hum ko
hum to insan hain ai KHizr hamein marna hai
jine deta nahin fitrat ka taqaza hum ko
hai abhi dur bahut dur hamari manzil
hukm hai farsh se ta-arsh-e-mualla hum ko
wo nigah bandh gai dil mein tilism-e-ummid
nazar aati hai tamanna hi tamanna hum ko
shahr-e-ulfat mein nahin tafraqa-pardaz 'hafiz'
kahin kaba nazar aaya na kalisa hum ko
Ghazal
ShaiKH ka KHauf hamein hashr ka dhaDka hum ko
Hafeez Jalandhari