shaiKH-e-haram us but ka parastar hua hai
but-KHana-nashin bandh ke zunnar hua hai
har harf pe do aansu Tapak paDte hain ai wae
KHat yar ko likhna hamein dushwar hua hai
kotah na samajh aah-e-zaifan ko ye tir
sau bar dil-e-arsh se bhi par hua hai
ai said-fagan gham se tere duri ki mera
har zaKHm-e-dil ek dida-e-KHun-bar hua hai
hasti teri parda hai uTha de ise ghafil
kyun aisa hijab-e-ruKH-e-dildar hua hai
aage tere thi garm-e-suKHan hone ki hasrat
so bharna dam-e-sard bhi dushwar hua hai
kar qadr tu 'rasiKH' ki ki is tarah ka aazad
yun dam mein aa tere giraftar hua hai
Ghazal
ShaiKH-e-haram us but ka parastar hua hai
Rasikh Azimabadi