اردو हिंदी
Shahr mein tanha tha lekin karb-e-tanhai na tha | Shaahi Shayari
shahr mein tanha tha lekin karb-e-tanhai na tha

Ghazal

Shahr mein tanha tha lekin karb-e-tanhai na tha

Karrar noori

;

shahr mein tanha tha lekin karb-e-tanhai na tha
ghar se bahar rah ke main itna to saudai na tha

KHud-baKHud hi dost ban kar bante hain dushman ye log
warna az-KHud to mujhe zauq-e-shanasai na tha

teri nazron ne na jaane kitni izzat baKHsh di
mujh ko pahle to kabhi bhi KHauf-e-ruswai na tha

is bhari duniya mein bas ek main tamasha ban gaya
aur shayad koi bhi tera tamannai na tha