اردو हिंदी
Shahr-e-tarab mein aaj ajab hadisa hua | Shaahi Shayari
shahr-e-tarab mein aaj ajab hadisa hua

Ghazal

Shahr-e-tarab mein aaj ajab hadisa hua

Hamid Sarosh

;

shahr-e-tarab mein aaj ajab hadisa hua
hanste mein us ki aankh se aansu chhalak paDa

hairan ho ke soch raha tha ki kya kahun
ek shaKHs mujh se mera pata puchhne laga

haala nahin hai aatish-e-furqat ki aanch hai
tara na tha to chand ka pahlu sulag uTha

ab yaad bhi nahin ki shikayat thi un se kya
bas ek KHayal zehn ke goshe mein rah gaya

kitne hi tare TuT ke daman mein aa gire
jab chaudhwin ka chand ghaTaon mein ja chhupa

baad-e-KHizan chaman se shabistan tak aa gai
takiye ka surKH phul bhi murjha ke rah gaya

socha tha us se dur kahin ja basenge hum
lekin 'sarosh' hum se peshawar na chhuT saka