اردو हिंदी
Shahr-e-na-pursan mein kuchh apna pata milta nahin | Shaahi Shayari
shahr-e-na-pursan mein kuchh apna pata milta nahin

Ghazal

Shahr-e-na-pursan mein kuchh apna pata milta nahin

Hasan Abidi

;

shahr-e-na-pursan mein kuchh apna pata milta nahin
baam-o-dar raushan hain lekin rasta milta nahin

fasl-e-gul aisi ki arzan ho gae kaghaz ke phul
ab koi gul-pairahan zarrin-qaba milta nahin

aashna chehron se rang-e-ashnai uD gaya
ham-zaban ab KHushk patton ke siwa milta nahin

ek sannaTa hai shabnam se shua-e-nur tak
ab koi aanchal pas-e-mauj-e-saba milta nahin

hakimon ne shahr ke andar fasilen khinch din
din mein bhi ab koi darwaza khula milta nahin

itne be-parwa irade itne be-taufiq gham
hath uThte hain magar harf-e-dua milta nahin