shahr-e-junun mein kal talak jo bhi tha sab badal gaya
marne ki KHu nahin rahi jine ka Dhab badal gaya
pal mein hawa miTa gai sare nuqush nur ke
dekha zara si der mein manzar-e-shab badal gaya
meri purani arz par ghaur kiya na jaega
yun hai ki us ki bazm mein tarz-e-talab badal gaya
saat-e-KHub wasl ki aani thi aa nahin saki
wo bhi to wo nahin raha main bhi to ab badal gaya
duri ki dastan mein ye bhi kahin pe darj ho
tishna-labi to hai wahi chashma-e-lab badal gaya
mere siwa har ek se duniya ye puchhti rahi
mujh sa jo ek shaKHs tha patthar mein kab badal gaya
Ghazal
Shahr-e-junun mein kal talak jo bhi tha sab badal gaya
Shahryar