اردو हिंदी
Shahr-e-dil phir mera viran hua jata hai | Shaahi Shayari
shahr-e-dil phir mera viran hua jata hai

Ghazal

Shahr-e-dil phir mera viran hua jata hai

Muneer Saifi

;

shahr-e-dil phir mera viran hua jata hai
ghar ki barbaadi ka saman hua jata hai

ghaaliban phir nai uftad paDi hai dil par
sans bhi nuh ka tufan hua jata hai

teri har baat se girta hai kaleja kaT kar
tera har lafz to paikan hua jata hai

hijr ki raat to karwaT mein guzar jati hai
aur din bhi bahut aasan hua jata hai

sara gham meri hi qismat mein likha hai 'saifi'
dil mera 'mir' ka diwan hua jata hai