shahar mein rang hai na KHushbu hai
phir bhi charcha usi ka har-su hai
bah raha hai muhib sannaTa
pa-ba-gil sabza-e-lab-e-ju hai
ghup andhere ka jal raha hai charagh
raushni ka ajib jadu hai
be-dili hai nasib-e-dam-e-KHayal
aarzu ek ramida aahu hai
sina-e-sang par TheThurta hua
shaKH-e-gul ka gudaz pahlu hai
shiddat-e-karb se niDhaal nahin
aankh mein jam gaya jo aansu hai
ek zarra nahin jo mil jae
aur bapa mahshar-e-tagapu hai
dard ne baDh ke aashkar kiya
maut par zindagi ka qabu hai
mujh ko dekhen 'nazar' jo kahte hain
aadmi, aadmi ka daru hai

Ghazal
Shahar mein rang hai na KHushbu hai
Qayyum Nazar