shab-e-visal lagaya jo un ko sine se
to hans ke bole alag baiThiye qarine se
sawab ho ki na ho is se kya gharaz zahid
maza mila mujhe tujh ko pila ke pine se
shab-e-firaq ye ehsan hai tasawwur ka
ki so raha hun laga kar kisi ko sine se
falak miTaega mujh ko jo tum mukaddar ho
adawat us ki baDhegi tumhaare kine se
gham-e-firaq mein kya lutf-e-zindagi hai 'hafiz'
hamein to maut hi behtar hai aise jine se
Ghazal
Shab-e-visal lagaya jo un ko sine se
Hafeez Jaunpuri