shab-e-siyah se niklega mahtab koi
ufuq mein dekhte rahiyega roz KHwab koi
jawab DhunD ke sare jahan se jab lauTe
hamein to kar gaya yak-laKHt la-jawab koi
chaman se nikle hain ek phul toD kar hum bhi
lahuluhan se hathon mein hai gulab koi
milen to kaise milen jaen to kahan jaen
ki kar raha hai bahut hum se ijtinab koi
bikherte hue sona zamin mein chaaron taraf
ubhar raha hai samundar se aaftab koi
'mamun' chaaron taraf mere ab andhera hai
ubhar ke Dub gaya mujh mein aaftab koi
Ghazal
Shab-e-siyah se niklega mahtab koi
Khaleel Mamoon