sham kinare utra main
ho gaya reza reza main
jangal ki virani mein
KHamoshi se gunja main
tanhai mein raushan hun
ek diya yaadon ka main
sindh kinare hun 'KHurshid'
pyas-bhara mashkiza main
Ghazal
Sham kinare utra main
Khurshid Rabbani

