sham hui hai yar aae hain yaron ke hamrah chalen
aaj wahan qawwali hogi 'jaun' chalo dargah chalen
apni galiyan apne ramne apne jangal apni hawa
chalte chalte wajd mein aaen rahon mein be-rah chalen
jaane basti mein jangal ho ya jangal mein basti ho
hai kaisi kuchh na-agahi aao chalo nagah chalen
kuch apna us shahr taraf hai nami hum jis shahr ke hain
kapDe phaDen KHak-ba-sar hon aur ba-izz-o-jah chalen
rah mein us ki chalna hai to aish kara den qadmon ko
chalte jaen chalte jaen yani KHatir-KHwah chalen
Ghazal
Sham hui hai yar aae hain yaron ke hamrah chalen
Jaun Eliya