sham hoti hai to yaad aati hai sari baaten
wo dopahron ki KHamoshi wo hamari baaten
aankhen kholun to dikhai nahin deta koi
band karta hun to ho jati hain jari baaten
kabhi ek harf nikalta nahin munh se mere
kabhi ek sans mein kar jata hun sari baaten
jaane kis KHak mein poshida hain aansu mere
kin fazaon mein muallaq hain tumhaari baaten
kis mulaqat ki ummid liye baiTha hun
main ne kis din pe uTha rakkhi hain sari baaten
Ghazal
Sham hoti hai to yaad aati hai sari baaten
Ahmad Mushtaq