sawad-e-sham pe suraj utarne wala hai
Thahar bhi ja ki ye manzar ubharne wala hai
milenge dagh sitare charagh-e-shabam bhi
ghamon ki raat ka chehra nikharne wala hai
chalo julus ki surat mein zindagi walo
zara si der mein lamha guzarne wala hai
koi to dahr mein zinda rahe KHudawanda
tere jahan mein insan marne wala hai
wo apni zat ke manshur ke tanazur mein
ek ehtimam se elan karne wala hai
'nisar' zist ke dozaKH mein ji raha hai magar
wo apni aag ke shoalon se Darne wala hai

Ghazal
Sawad-e-sham pe suraj utarne wala hai
Rasheed Nisar