sauda-e-ishq ke to KHata-war hum nahin
hain ishq ke mariz gunahgar hum nahin
hum jo khaTak rahe the tumhaari nigah mein
lo ab tumhaari rah mein diwar hum nahin
us ki KHushi ke waste KHud ko fana kiya
phir bhi wo kah raha hai wafadar hum nahin
dil mein hamare ek talatum sa hai bapa
KHamosh hain ki zinat-e-aKHbar hum nahin
tanhaiyon ki hum ne hi duniya basai hai
goshe mein KHud ke hain sar-e-bazar hum nahin
sahra ke gard-o-garm hi ab ras aa gae
'sima' kisi chaman ke rawadar hum nahin

Ghazal
Sauda-e-ishq ke to KHata-war hum nahin
Seema Gupta