sau raha tha to shor barpa tha
uTh ke dekha to main akela tha
KHak par mere KHwab bikhre the
aur main reza reza chunta tha
chaar jaanib wajud ki diwar
apni aawaz main hi sunta tha
umr bhar bund bund ko tarse
samne ghar ke ek dariya tha
lab-e-dariya khaDe rahe donon
wo bhi pyasa tha main bhi pyasa tha

Ghazal
Sau raha tha to shor barpa tha
Razi Tirmizi