sarhad-e-fana tak bhi tirgi nahin aai
yun bhi ras andheron ki zindagi nahin aai
tum sharab pi kar bhi hosh-mand rahte ho
jaane kyun mujhe aisi mai-kashi nahin aai
jis ki bhi tabahi ho kuchh asar to rakhti hai
aaj meri haalat par kyun hansi nahin aai
aur bhi daraKHshan ho ai mere nae suraj
ab bhi mere aangan mein raushni nahin aai
rahrawan-e-danish ki zindagi batati hai
kaam kin manazil mein aagahi nahin aai
log chaar hi din mein ban gae 'salam' ai dil
aur KHud mujhe ab tak shaeri nahin aai
Ghazal
Sarhad-e-fana tak bhi tirgi nahin aai
Salam Machhli shahri