sard ThiThuri hui lipTi hui sarsar ki tarah
zindagi mujh se mili pichhle december ki tarah
kis tarah dekhna mumkin tha kisi aur taraf
main ne dekha hai tujhe aaKHiri manzar ki tarah
hath rakh lams bhari tez nazar ke aage
chirti jati hai sina mera KHanjar ki tarah
barishen us ka lab-o-lahja pahan leti thin
shor karti thi wo barsat mein jhanjhar ki tarah
kachchi miTTi ki mahak oDh ke itraati thi
main use dekhta rahta tha samundar ki tarah
pallu girta hua saDi ka uTha kar 'mansur'
chalti hai chhalki hui dudh ki gagar ki tarah
Ghazal
Sard ThiThuri hui lipTi hui sarsar ki tarah
Mansoor Aafaque