sard ho jati hai fikr-e-jah-e-duniya jis ke baad
wo zara sa hai KHayal ai dil ki phir kya is ke baad
dil ba-mushkil aastan-e-but ke sajdon se phira
sar uThaya to sahi lekin baDi ghis ghis ke baad
be-KHudi aai thi un ke baad bazm-e-naz mein
phir nahin malum hum ko kaun aaya kis ke baad
KHun-e-dil hi par masaib kash ho jate tamam
dekhna ye hai ki hona aur kya hai is ke baad
KHud ko pahchane to insan kyun rahe paband-e-ghair
ye kamal-e-be-hayai hai zawal-e-his ke baad
koi jata hai to jae kis ko parwa hai yahan
bazm-e-alam ye kaho suni hui hai kis ke baad
kho diya shohrat ne apni sher-KHwani ka maza
dad mil jati hai 'natiq' har ratab-yabis ke baad
Ghazal
Sard ho jati hai fikr-e-jah-e-duniya jis ke baad
Natiq Gulavthi