sar Takraen jis se wo diwar kahan
jism kahan aur ruh ka ye aazar kahan
tanhai ka kab ye aalam tha pahle
chhuT gae hain mujh se mere yar kahan
andhe shahar ke sab aaine andhe hain
aise mein KHud apna bhi didar kahan
TuTi TuTi chand shabihen baqi hain
dil mein ab yaadon ka wo ambar kahan
mere andar mujh se laDta hai koi
is paikar mein jit kahan aur haar kahan
ruh do-nim aur jism bhi hai reza reza
KHak uData phirta hai pindar kahan
kyun ye kashti Dol rahi hai lahron par
TuTa hai is kashti ka patwar kahan

Ghazal
Sar Takraen jis se wo diwar kahan
Akbar Haidri