اردو हिंदी
Sar jis pe na jhuk jae use dar nahin kahte | Shaahi Shayari
sar jis pe na jhuk jae use dar nahin kahte

Ghazal

Sar jis pe na jhuk jae use dar nahin kahte

Bismil Saeedi

;

sar jis pe na jhuk jae use dar nahin kahte
har dar pe jo jhuk jae use sar nahin kahte

kya ahl-e-jahan tujh ko sitamgar nahin kahte
kahte to hain lekin tere munh par nahin kahte

kabe mein musalman ko kah dete hain kafir
but-KHane mein kafir ko bhi kafir nahin kahte

rindon ko Dara sakte hain kya hazrat-e-waiz
jo kahte hain allah se Dar kar nahin kahte

har bar nae shauq se hai arz-e-tamanna
sau bar bhi hum kah ke mukarrar nahin kahte

mai-KHane ke andar bhi wo kahte nahin mai-KHwar
jo baat ki mai-KHane ke bahar nahin kahte

kahte hain mohabbat faqat us haal ko 'bismil'
jis haal ko hum un se bhi aksar nahin kahte