اردو हिंदी
Sar hone do ye kar-e-jahan aish karenge | Shaahi Shayari
sar hone do ye kar-e-jahan aish karenge

Ghazal

Sar hone do ye kar-e-jahan aish karenge

Irfan Siddiqi

;

sar hone do ye kar-e-jahan aish karenge
hum log bhi ai dil-zadagan aish karenge

kuchh arz karenge tab-o-tab-e-KHas-o-KHashak
aa ja ki zara barq-e-butan aish karenge

ab dil mein sharar koi talab ka na hawas ka
is KHak pe kya KHush-badanan aish karenge

kuchh dur to bahte chale jaenge bhanwar tak
kuchh der sar-e-ab-e-rawan aish karenge

is aas pe sachchai ke din kaT rahe hain
aati hai shab-e-wahm-o-guman aish karenge