sanware hai gesu to dekha kare hai
wo ab dil ko aaina jaana kare hai
na baaten kare hai na dekha kare hai
magar mere bare mein socha kare hai
mohabbat se wo dushmani hai ki duniya
hawa bhi lage hai to charcha kare hai
tumhaari tarah bewafa kaun hoga
hamein waqt ab tak pukara kare hai
guzarte to hum bhi hain us ki gali se
suna hai wo chhup chhup ke dekha kare hai
ek aati hai manzil ki har husn wala
tamannaiyon ki tamanna kare hai
wahan la ke chhoDa hai us ne ki insan
jahan zahr khana gawara kare hai
gile karte phiriye ki diwana baniye
paDi hai wo aison ki parwa kare hai
jo ghuncha sar-e-sham chaTke to samjho
kisi par wafa ka taqaza kare hai
kisi ne unhen ye sujha di ki 'mahshar'
tumhein sher kah kah ke ruswa kare hai
Ghazal
Sanware hai gesu to dekha kare hai
Mahshar Inayati