sang-e-chehra-numa to main bhi hun
dekhiye aaina to main bhi hun
baiat-e-husn ki hai main ne bhi
sahab-e-silsila to main bhi hun
mujh pe hansta hai kyun sitara-e-subh
raat bhar jagta to main bhi hun
kaun pahuncha hai dasht-e-imkan tak
waise pahuncha hua to main bhi hun
aaina hai sabhi ki kamzori
tum hi kya KHud-numa to main bhi hun
mera dushman hai dusra har shaKHs
aur wo dusra to main bhi hun
Ghazal
Sang-e-chehra-numa to main bhi hun
Shabnam Rumani