اردو हिंदी
Samundar se kisi lamhe bhi tughyani nahin jati | Shaahi Shayari
samundar se kisi lamhe bhi tughyani nahin jati

Ghazal

Samundar se kisi lamhe bhi tughyani nahin jati

Arshad Kamal

;

samundar se kisi lamhe bhi tughyani nahin jati
magar sahil ko gham hai KHushk-damani nahin jati

ghanimat hai meri aankhon ki ye sayyal aatish bhi
isi se mere zehn-o-dil ki tabani nahin jati

sawa-neze pe suraj der tak rukne nahin pata
magar kya hai ki teri shoala-afshani nahin jati

sada-e-KHamushi deti hai ab dastak dar-e-dil par
na jaane kyun hamare ghar se virani nahin jati

riha ho kar bhi kuchh tair qafas mein lauT aate hain
faza-e-qaid ki aadat ba-asani nahin jati

tamaddun ka naya jama bahut shaffaf hai yaro
ki tan-poshi karo kitni hi uryani nahin jati

jatan sare hi karta hun magar kya kijiye 'arshad'
meri KHuddari-e-fitrat hai diwani nahin jati