اردو हिंदी
SameT kar tere jalwon ki raushni maine | Shaahi Shayari
sameT kar tere jalwon ki raushni maine

Ghazal

SameT kar tere jalwon ki raushni maine

Jauhar Zahiri

;

sameT kar tere jalwon ki raushni main ne
dil-o-nigah ki duniya sanwar li main ne

mizaj-e-husn kisi taur se badal na saka
gawara samjha gham-e-na-gawar bhi main ne

tamam saKHtiyan rah-e-talab ki sahl huin
tumhaare nam ki tasbih jab paDhi main ne

tumhaara ishq hua hai kai ghamon ka sabab
ki ek jahan ki KHaridi hai dushmani main ne

nuqush-e-pa pe jabin ain be-KHudi mein rahi
bhulae kab bhala aadab-e-ashiqi main ne

ye kaun de gaya mujh ko sukun-e-qalb-o-nazar
ye kis ka nam liya tha abhi abhi main ne

meri hayat-e-do-roza ka kya buri ki bhali
guzarni paDi 'jauhar' guzar di main ne