samajhte the wo, samjhaya gaya hai
hamein hum se hi milwaya gaya hai
hamare nam ka be-nam hissa
kisi ke nam likhwaya gaya hai
kabhi ehsan koi kar gaya tha
barabar yaad dilwaya gaya hai
ye aankhen nind mein bhi jagti hain
ye kis ka zikr dohraya gaya hai
hum apni guftugu bhi taulte hain
hamein bewpar sikhlaya gaya hai

Ghazal
Samajhte the wo, samjhaya gaya hai
Sonroopa Vishal