samajh sake na jise koi bhi sawal aisa
buna hai sans ke dhagon ne ek jal aisa
kabhi dimagh tha mujh ko bhi KHud-parasti ka
palaT ke zehn mein aaya na phir KHayal aisa
main aasman to na tha jis mein chand chhup jate
hua na hoga kisi ka kabhi zawal aisa
tamam umr nae lafz ki talash rahi
kitab-e-dard ka mazmun tha paemal aisa
kinar-e-ab na pahunchegi jaan ki kashti
bahut dinon se hai pani mein ishtial aisa
Ghazal
Samajh sake na jise koi bhi sawal aisa
Shamim Hanafi