اردو हिंदी
Sakun mila hai magar iztirab jaisa hai | Shaahi Shayari
sakun mila hai magar iztirab jaisa hai

Ghazal

Sakun mila hai magar iztirab jaisa hai

Mumtaz Rashid

;

sakun mila hai magar iztirab jaisa hai
tere badan ka fusun bhi sharab jaisa hai

hanse wo lakh magar zabt-e-gham ki tahriren
na chhup sakengi ki chehra kitab jaisa hai

milega pas se kuchh bhi na KHak o KHun ke siwa
palaT chalen ki ye manzar sarab jaisa hai

na koi peD na saya na aahaTon ka guman
ye justuju ka safar bhi azab jaisa hai

wo samne hai magar us ko chhu nahin sakta
main pujta hun wo paikar jo KHwab jaisa hai

sulag rahe ho yunhi gham ki dhup se 'rashid'
wo hath chum ke dekho gulab jaisa hai