sail-e-KHun paikar-e-ashaar mein Dhalta hi nahin
gham wo lawa hai jo sine se ubalta hi nahin
aaine lakh magar ek si taswiren hain
kis ko dekhun main koi shakl badalta hi nahin
jo bhaTakta tha kabhi dhup ke sahraon mein
ab wo saya meri chaukhaT se nikalta hi nahin
koi tahrir miTaen to dhuan uThta hai
dil wo bhiga hua kaghaz hai ki jalta hi nahin
mujh se munh pherne wale meri qimat pahchan
main wo sikka hun jo bazar mein chalta hi nahin
kaun chhinega meri soch ki daulat 'rashid'
jism ka bojh to logon se sambhalta hi nahin

Ghazal
Sail-e-KHun paikar-e-ashaar mein Dhalta hi nahin
Mumtaz Rashid