sahraon mein ja pahunchi hai shahron se nikal kar
alfaz ki KHushbu mere honTon se nikal kar
sine ko mere kar gaya ek aan mein raushan
ek nur ka kaunda teri aankhon se nikal kar
main qatra-e-shabnam tha magar aaj hun suraj
aa baiTha hun main sadiyon mein lamhon se nikal kar
ho jaenge basti ke dar-o-baam munawwar
suraj abhi chamkega darichon se nikal kar
kya jaaniye ab kaun si jaanib ko gaya hai
ek zard sa chehra teri galiyon se nikal kar
har samt tha ek talKH haqaeq ka samundar
dekha jo tasawwur ke jaziron se nikal kar
wo pyas hai miTTi pe zaban pher rahe hain
hum aae hain ehsas ke shoalon se nikal kar
har aan sada dete hain masum ujale
'betab' chale aao dhundlakon se nikal kar
Ghazal
Sahraon mein ja pahunchi hai shahron se nikal kar
Saleem Betab