اردو हिंदी
Sahra mein jo diwane se baad-e-saba uljhi | Shaahi Shayari
sahra mein jo diwane se baad-e-saba uljhi

Ghazal

Sahra mein jo diwane se baad-e-saba uljhi

Jumbish Khairabadi

;

sahra mein jo diwane se baad-e-saba uljhi
har mauj-e-gul-e-tar se wo zulf-e-dota uljhi

ilzam nahin tujh par ai baadiya-paimai
diwane ki qismat se sahra ki hawa uljhi

paband-e-nazakat thi nairangi-e-gul-chini
surKHi-e-gul-e-tar se hathon ki hina uljhi

ya husn-e-kashish mein jaan aur aap ne Dali hai
ya shoKHi-e-fitrat hai dar-parda haya uljhi

KHamosh tajalli ki fitrat main samajhta hun
kyun KHirman-e-dil se hi ai barq-e-ada uljhi

dil mein teri yaadon ne wo bijliyan chamkain
aankhon se mari aa kar sawan ki ghaTa uljhi

zamin meri uljhan ke uljhe hue gesu hain
be-wajh meri 'jumbish' kab tab-e-rasa uljhi