sahme nahif dariya ke dhaare ki baat kar
ab dasht-e-be-karan ke kinare ki baat kar
duniya ke masalon mein mujhe bhi sharik rakh
mere darida dil ke bhi chaare ki baat kar
rahne de zikr-e-sud kisi aur waqt par
rah-e-wafa mein mere KHasare ki baat kar
mear ke na mujh ko kam-o-besh mein parakh
tujh ko agar qubul hun sare ki baat kar
hum boriya-nashin tere shah bhi to hain
ya lauT ja ya sath guzare ki baat kar
ab aasman sara meri dastaras mein hai
ungli uTha kisi bhi sitare ki baat kar

Ghazal
Sahme nahif dariya ke dhaare ki baat kar
Saleem Figar