اردو हिंदी
Sahar anjaan si maghmum sa KHwab-e-wafa kyun hai | Shaahi Shayari
sahar anjaan si maghmum sa KHwab-e-wafa kyun hai

Ghazal

Sahar anjaan si maghmum sa KHwab-e-wafa kyun hai

Meer Naqi Ali Khan Saqib

;

sahar anjaan si maghmum sa KHwab-e-wafa kyun hai
na jaane qurbaton ke nam se ye fasla kyun hai

andhere zahr barsane lage hain zindagani par
kisi ke pyar ka mahtab aise mein KHafa kyun hai

zara jab raat Dhalti hai to KHwabon ke jharoke se
hasin manus shaklon ka sawera jhankta kyun hai

bahaar aai faza mahki KHushi ne hath phailae
to phir ye zindagi aawara-e-dasht-e-wafa kyun hai

shab-e-gham kaT gai lekin ujalon se gale mil kar
sahar ki aarzu itni sahar na-ashna kyun hai

mere anfas se aati hai KHushbu-e-sahar kaisi
sukut-e-baam-o-dar mein aaj teri hi sada kyun hai

koi dil se nahin guzra to 'saqib' kaun batlae
kisi pazeb ki jhankar se dil gunjta kyun hai