sahaara de nahin sakte shikasta panw ko
haTao rah-e-mohabbat se rahnumaon ko
bana raha hun hasin aur mah-laqaon ko
saja raha hun main aafaq ki fazaon ko
nazar nazar se milata hun muskuraata hun
junun ki shan dikhata hun dil-rubaon ko
qadam qadam pe nae inqalab raqsan hain
duaen dete hain hum aap ki adaon ko
mila jo daman-e-sahil to aisi mauj aai
safine saunp diye hum ne na-KHudaon ko
nigah pherne walon se puchhta hun main
tum aazmaoge kab tak meri wafaon ko
abhi to dasht-o-daman mein bahaar aai hai
abhi chaman mein khilane hain gul hawaon ko
chale hain jaanib-e-dar-o-rasan KHarabaati
gunah ka rang dikhana hai parsaon ko
har ek lamha-e-nau ka ab ehtiram karo
naya payam do 'aKHtar' nai fazaon ko
Ghazal
Sahaara de nahin sakte shikasta panw ko
Akhtar Ansari Akbarabadi