safar mein rasta badalne ke fan se waqif hai 
wo shaKHs chehra badalne ke fan se waqif hai 
hui hai chashm-e-shanasa bhi ajnabi to khula 
ki aankh rishta badalne ke fan se waqif hai 
hai aadhe shahr mein barish to aadhe shahr mein dhup 
hawa ilaqa badalne ke fan se waqif hai 
suni-sunai pe ik-dam yaqin mat karna 
ye KHalq qissa badalne ke fan se waqif hai 
usi ke pas hukumat hai ab qabile ki 
ki jo qabila badalne ke fan se waqif hai 
kisi ko pinjra badalne ka shauq hai 'ruhi' 
koi parinda badalne ke fan se waqif hai
        Ghazal
Safar mein rasta badalne ke fan se waqif hai
Rehana Roohi

