اردو हिंदी
Safar mein hain to hamein yaad baam-o-dar ki hai | Shaahi Shayari
safar mein hain to hamein yaad baam-o-dar ki hai

Ghazal

Safar mein hain to hamein yaad baam-o-dar ki hai

Ishaq Athar Siddiqui

;

safar mein hain to hamein yaad baam-o-dar ki hai
Thahar gae hain to phir aarzu safar ki hai

sukun se baiThne walo ye tum ne socha bhi
yahan ye chhanw hai lekin ye kis shajar ki hai

mere liye meri hijrat hi ajr kya kam hai
main chal raha hun ki har rah mere ghar ki hai

hamein bhi hai to KHabar dhup chhanw ki 'athar'
ki hum ne bhi to koi zindagi basar ki hai