safar mein hai jo azal se ye wo bala hi na ho 
kiwaD khol ke dekho kahin hawa hi na ho 
nigah-e-aina malum aks na-malum 
dikhai deta hai jo asl mein chhupa hi na ho 
zamin ke gird bhi pani zamin ki tah mein bhi 
ye shahr jam ke khaDa hai jo tairta hi na ho 
na ja ki is se pare dasht-e-marg ho shayad 
palaTna chahen wahan se to rasta hi na ho 
main is KHayal se jata nahin watan ki taraf 
ki mujh ko dekh ke us but ka ji bura hi na ho 
kaTi hai jis ke KHayalon mein umr apni 'munir' 
maza to jab hai ki us shoKH ko pata hi na ho
        Ghazal
Safar mein hai jo azal se ye wo bala hi na ho
Muneer Niyazi

