safar ke tajrabon mein gard-e-pa bhi aa hi jati hai
magar us pech-o-KHam se kuchh jila bhi aa hi jati hai
jo chalta hun falak se KHun ke fawware baraste hain
jo rukta hun samum-e-fitna-za bhi aa hi jati hai
KHirad ki sans bhi ruk jati hai tira-KHayali se
tah-e-ehsas nadida bala bhi aa hi jati hai
jo paude sahn mein khilte hain un ko dhup lagti hai
daraKHton se tar-o-taza hawa bhi aa hi jati hai
hare rah jaenge jaan-dar patte zard mausam mein
KHizan-baKHti mein jine ki ada bhi aa hi jati hai
unhin se qarya-e-jaan mein wufur-e-dard hota hai
unhin nazron mein tasir-e-shifa bhi aa hi jati hai
Ghazal
Safar ke tajrabon mein gard-e-pa bhi aa hi jati hai
Syed Amin Ashraf

