safar-e-zindagi nahin aasan
har taraf rah mein hain sang-e-giran
dur ho jaen dukh zamane ke
sahab-e-dard ho agar insan
sochna paD gaya zamane ko
miT ke bhi hum na jab hue arzan
tu ise tanz kyun samajhta hai
main to haalat kar raha hun bayan
ji raha hun kuchh is tarah jaise
aag lag jae aur ho na dhuan
tu meri baat ka jawab na de
main samajhta hun KHamushi ki zaban
nukta-chini hasad dil-azari
aur kya hai mata-e-be-hunaran
mujh ko us ko talash hai 'rifat'
jo mere dil mein hai kahin pinhan
Ghazal
Safar-e-zindagi nahin aasan
Rifat Sultan