sadme jo kuchh hon dil pe sahiye
puchhe bhi koi to chup hi rahiye
be-sabr hi kah ke ruk gae kyun
kahiye kahiye kuchh aur kahiye
aaKHir kab tak ye be-niyazi
insaf se aap hi na kahiye
mar hi jaane ki baat hai ye
mere liye aap zulm sahiye
aankhon mein ghurur hai kisi ka
kis tarah kisi se dab ke rahiye
sunne ki jo baat ho wo suniye
kahne ki jo baat ho wo kahiye
rone ko paDi hai umr sari
chhaalon ki tarah na phuT bahiye
suniye jo 'hafiz' ki musibat
ro dijiye aap mein na rahiye
Ghazal
Sadme jo kuchh hon dil pe sahiye
Hafeez Jaunpuri