اردو हिंदी
Sadma har-chand tere jaur se jaan par aaya | Shaahi Shayari
sadma har-chand tere jaur se jaan par aaya

Ghazal

Sadma har-chand tere jaur se jaan par aaya

Sauda Mohammad Rafi

;

sadma har-chand tere jaur se jaan par aaya
tis pe shikwa na kabhi meri zaban par aaya

rast-keshon ki tuf-e-ah se Dar ai sarkash
tir phirta nahin jis waqt nishan par aaya

mausam-e-sheb mein be-faeda hai lab-e-shabab
kab samar dewe hai jo naKHl KHizan par aaya

dil-e-pur-KHun ko mere ghuncha-e-taswir ki tarah
lab-e-washud na kabhi raaz-e-nihan par aaya

chashm-e-anjum pe nahin abr se wo roz-e-siyah
jo mere dida-e-KHun-nab-chakan par aaya

raat ko dekh ke ai mah tujhe ghair ke sath
tana-zan dil ka mere gul ke katan par aaya

ho ke ustad dabistan-e-suKHan mein 'sauda'
sher ke qaeda danan-e-jahan par aaya