اردو हिंदी
Sach hai jab bhi koi harf uski zaban se nikla | Shaahi Shayari
sach hai jab bhi koi harf uski zaban se nikla

Ghazal

Sach hai jab bhi koi harf uski zaban se nikla

Naz Quadri

;

sach hai jab bhi koi harf us ki zaban se nikla
zahr mein Duba hua tir kaman se nikla

dur tak phail gaya husn-e-maani ka tilism
KHub mafhum mere lafz-o-bayan se nikla

main tere tark-e-talluq se bas itna samjha
ek patthar tha jo shishe ke makan se nikla

ek haqiqat pas-e-afsana thi raushan raushan
wo jo kabe ko gaya shahr-e-butan se nikla

us taraf dar ki manzil thi idhar kucha-e-yar
mujh ko jaana tha kahan aur kahan se nikla

manzil-e-zat mili ruh hui aasuda
silsila tar-e-nafas ka rag-e-jaan se nikla

bas ki tha pesh-e-nazar husn-e-azal ka jalwa
'naz' har kashmakash-e-sud-o-ziyan se nikla